Thursday, July 22, 2010

Main Bulb aur tu Tube sakhi...!!

Main peela-peela sa prakash, aur tu bhakabhak din sa ujaas,
Main aam pilia ka mareez aur tu gori-chitti mem khaas,
Main khar-patwar avaanchhit sa,aur tu pooja ki doob sakhi,
Main bulb aur tu tube sakhi..!!

Teri meri na samta kuchh,tere aagey na jamta kuchh,
main sadharan sa lattu,mujhmein na jyada kshamta kuchh,
teri to deewani duniya,mujhse jaatey sab oob sakhi,
Main bulb aur tu tube sakhi..!!

Kum voltage mein tu na jaley, tab hi meri kuchh daal galey,
varna hai meri pooch kahaan,har jagah tujhey hi maan mile,
hoon size mein bhi main hetha, teri height kya khoob sakhi,
Main bulb aur tu tube sakhi..!!

Bijli ka tera kharch kum,lekin light mein kitna dum,
soniye, election bina ladey hi jeet jaaye tu khuda kasam,
naiyya meri majhdhar padi, lagta jayegi doob sakhi,
Main bulb aur tu tube sakhi..!!

Tu mehengi to main sasta hoon,tu chaandi to main jasta hoon,
ithhlaati hai tu apney par,lekin main khud par hansta hoon,
Main kabhi nahi ban paaoonga,tere dil ka mehboob sakhi,
Main bulb aur tu tube sakhi..!!

Dhoondtey Reh jaaogey...

Cheezon mein kuch cheezein,baaton mein kuch baatein wo hongee,jinhein kabhi dekh na paaoge,ikkeeswein sadi mein dhoondtey reh jaogey

-bachchon mein bachpan,jawani mein yauwan,sheeshon mein darpan,jeevan mein sawan,gaaon mein akhada,shehar mein singhada,aur pyjamon mein nada,dhoondtey reh jaogey.

Chuudi bhari kalaai,shadi mein shehnai,aankhon mein pani,dadi ki kahani,pyar ke do pal,nal-nal mein jal,taraju men batta aur ladkiyon ka dupatta,dhoondtey reh jaogey.

Gaata hua gaaon,bargad ki chhaon,kisan ka hal,mehnat ka phal,chehekta hua panghat,lamba-lamba ghoonghat,lajja se thartharatey honth,aur pehelwaan ka langot,dhoondtey reh jaooge.

Aapas mein pyar,bhara poora parivaar,neta imandaar,do rupaye udhar,sadak kinarey pyaau,sambedhan mein chacha-tau,paropkari bandey aur arthi ko kandhey...dhoondtey reh jaaoge.